Monday, 9 February 2015

Baahir se to ronak

Baahir se to ronaq aj bhi wohi ha
is ishq ne andar hi andar se jalaya ha bohat kuch

Chor kar hum ne ameeri

Chor kar hum ne ameeri, ki faqeeri ikhtiyaar
boriye pe beethe han , qaleen ko thoikar maar kar

Churri ki dhaar se

Churri ki dhaar se kat'ti nahi chiraagh ki loo
badan ki mout se insaan mar nahi skta

Dekh zindagi istarhan na rula mujh ko

Dekh zindagi istarhan na rula mujhko
Hum Khafa huwe to tujhe chor jaen ge

Dil juda hon to mulaqat ka

dil juda hon to mulaqaat ka kya matlab?
Youn to sehra sy samnadar bhi mila karte han

Kuch alfaaz ki tarteeb se

Kuch alfaaz ki tarteeb se banti ha shayri
Kuch chehre hi puri ghazal hua karte han

Zakham han k dikhtey nahi





 Zakham han k dikhte nahi
Mat samajhna k dukhte nahi