Thursday, 20 October 2016

Hindu Poet Lata Haya Beautifull Poetry on Islam


Kisi Malzom k dil ki sada ko yaad kar lena
kisi bhi zulm se pehlay saza ko yaad kar lena

bura jab waqat ata hai to rab ko yaad kartay ho
kabhi achi ghari me bhi Khuda ko yaad kar lena

Huqooq aurat k mardo se hai kya ye jan'na hai to
Kalam Ullah ki Surah Nisa ko Yaad kar lena

Kabhi socha ha tumko log acha q nahi kehte
Kabhi Tanhai men Apni Khata ko Yaad kar lena

Agr Ghafil hai tu anjaam se apne ay israil
to quom e loot aur qoum e Saba ko yaad kar lena

Dua ko hath jab uthay to bas itni guzarish ha
Karo jab yad apno ko HAYA ko yaad kar lena





Men apne Aaj se Hara Koi Baazi Nahi Hota

Men apne Aaj se Hara Koi Baazi Nahi Hota
Agar Lipta Hua Mujhse, Mera Maazi Nahi Hota

Zaruri Hai Qadurat Bhi Dilo se Saaf Ho Pehle
Faqat Sar ko Jhukanay se Khuda Raazi Nahi Hota

Zamane k to Kham Suljha raha hun

Zamane k to Kham Suljha Raha hun
Magar khud Ulajhta ja raha hun

Ye duniya kab kisi ko manti ha
Men apne ap ko Manwa raha hun

Ye kya din aa gaye han Zindagi men
Men apne ap se ukta raha hun

wo dhoka day to uski kya khata hai
Khata meri ha dhoka kha raha hun

Poet: Nadeem Shah

Agr ye Darr Hai k Tujhko wo tum se tu kar day

Agr ye Darr Hai k Tujhko wo tum Se Tu Kar Day

TO Mashwra hai Mera Khatam Guftagu Karday

Jigar k Chaak Nahi AIsa Charagar Lao

Jo Meri Rooh k Zakhmo ko Bhi Rafu Kar de

Bohat Khobsurat Ho Tum

Bohat Khobsurat Ho Tum,
Bohat Khobsurat Ho Tum,
Kabhi men jo keh don Mohabbat Hai tumse
To mujhko khudara Galat Mat samajhna
k Meri Zarurat ho Tum

Bohat Khobsurat Ho Tum,
Bohat Khobsurat Ho Tum,

Han pholon ki daali ye banhen tumhari
hai khamosh jadu nigahen tumhari

jo kantay hon sab apne daman men rakh loun
Sajaun men kaliyo se rahen tumhari

Nazar se Zamane ki khud ko bachana
kisi or se daikho dil na lagana
k meri AMANAT ho tum

Shaam e Gham Tujh Se Jo Darr Jaty Han

Shaam e Gham Tujh Se Jo Darr Jaty Han
Shab Guzar Jaye to, Ghar Jaty Han

Youn Numayan Han Tere Kochay Men
Hum Jhukaye Huwe Sar Jaty Han

Ab Ana ka bhi Hamen Pass Nahi
WO Bulaty nahi, Par Jaty Han

Waqat Rukhsat Unhen Rukhsat Karnay
Hum bhi Tahat e Nazar Jaty Han

Yaad Kartay Nahi Jis din Tujhay Hum
Apni Nazron se Utar Jaty Han

Waqat se Puch Raha Ha Koi
Zakham kya Waqiae Bhar Jaty Han

Zindagi Tere *Taqub men Hum
Itna Chaltay Han k Marr Jaty Han

Poet: Tahir Sarfaraz

*Taqub Means "Pecha Karna"

Itna Bhi Karam Unka Koi Kam To Nahi ha

Itna Bhi Karam Unka Koi Kam To Nahi ha
Gham De Kar Puchtay Han, Koi Gham to Nahi Hai

Naqsha Jo Mujhe Khuld Men Dikhlaya Gaya Tha
Ay Sahib e Alam, Ye wo Aalam To Nahi Hai

Halat Mere In Dino Paichida Bohat Han
Zulfon men Kahin Teri, Koi Khan To Nahi Ha

Chal Maan Liya Tera Koi Dosh Nahi Tha
Halan k Dalelon m,en Teri, Damm To Nahi Hai

Poet: Tahir Sarfaraz