Thursday, 23 May 2019

Man Jiska Maula Hota Hai Ali Zaryoun


من جس کا مولا ہوتا ہے 
وہ بلکل مجھ سا ہوتا ہے

آنکھیں ہنس کر پوچھ رہی ہیں 
نیند آنے سے کیا ہوتا ہے

مٹی کی عزت ہوتی ہے 
پانی کا چرچا ہوتا ہے

اچھی لڑکی ضد نہیں کرتے
دیکھو عشق برا ہوتا ہے

آدم ہے اور تنہائی ہے
دیکھو اب کیا کیا ہوتا ہے

وقت کے زخم کا پوچھ رہے ہو 
تھوڑا سا گہرا ہوتا ہے

بن بتلائے مت آیا کر
آنکھوں کو دھوکا ہوتا ہے

وحشت کا اک گر ہے جس میں
قیس اپنا بچہ ہوتا ہے

جانتا ہوں منصور کو بھی میں
میرے ہی گھر کا ہوتا ہے

بس کر بھائی سادھو بس کر
ہوتا ہے ایسا ہوتا ہے
علی زریون

Man Jiska Maula Hota Hai
Woh Bilkul Mujh Sa Hota hai

Aankhen Hans Kar Puch Rahi Han
Neend Aany se Kya Hota Hai

Matti ki Izzat Hoti Hai
Paani Ka Charcha Hota Hai

Achi Larki Zidd Nahi Kartay
Dekho Ishaq Bura Hota Hai

Aadam Hai Aur Tanhai Hai
Dekho Ab Kya Kya Hota Hai

Waqat K Zakham Ka Puch Rahy Ho
Thorra Sa Gehra Hota Hai

Bin Batlaye Mat Aya Kar
Aankho Ko Dhoka Hota Hai

Wehshat ka Ik Gur Hai Jis Men
Qais Apna Bacha Hota Hai

Janta Hun Mansur ko Bhi Men
Mere Hi Ghar Ka Hota Hai

Bass Kar Bhai Saadhu Bas Kar
Hota Hai Aisa Hota Hai

Ali Zaryoun