Friday, 21 October 2016

Agar na Aaj Sahi Kal Zarur Totay Ga

Agar na Aaj Sahi Kal Zarur Totay Ga
Garur Kisak Raha Hai, Garur Totay Ga

Ye Mashwra hai k, Pathar Bana k Rakh Dil ko
Ye Aaina hi Raha to Zarur Totay Ga

Bhanwar men Reh k Kinare Talash Karta Hai

Bhanwar men Reh k Kinare Talash Karta Hai
Zameen pe kon sitaray talash karta hai

Wo kya Nadeem koi Inqlab Layega
Jo har qadam pe saharay talash karta hai

Thursday, 20 October 2016

Mana k Nahi Hum Se Mohabbat Tumko

Mana k Nahi Hum Se Mohabbat Tumko
Phir Sunaye Kya Dil Ki Ye Halat Tumko

Hum To Mar Rhy Han Mar Jayenge

Phir Meri Halat Se Hai Kya Shikayat Tumko

Writter: Mirza Usman

Kahan Jao Gay Tum Bhanwar Ankho Men Le Kr

Kahan Jao Gay Tum Bhanwar Ankho Men Le Kr
Teri Ankho Ko To Samandar Talash Kartay Han


Writter: Mirza Usman

Ik Tamanna Lahasil C

Din Bhar Mujh Ko Staati Ha Ik Tamanna Laahasil C
Shab Bhar Mujhko Jagati Ha, Ik Tamanna Lahaasil C
Dekhun To Sb Kuch Ha Haaasil Mujhe Lekin
 Haasil Nahi Mujhe, Ik Tamanna Laahasil C

Meri Socho Ki Almaari Men Tamanayen To Bohat Han Lekin
Tamanna Jo Akeli Pari Ha Dil Men, Ik Tamanna Lahaasil C

Muslim Hun To Janmo Ka Bharam Rkhna Maslak Nahi Ha Mera
Aik Zindagi Thi Jo Guzri Ha Le Kr, Ik Tamanna Laahasil C

Sochta Hun Khud Ko Neelam Kar Du
Soda Apna Men Sar E Aam Kr Dun
Jigar De Dun, Jabar De Dun, Ankhen De Dun Khoon De Dun,
 Jisam De Dun, Jan De Dun Mango Jo Dil Tum To Bolo Kese De Dun?
Mol Iska Kuch Nahi Ha Siwaye...Ik Tamanna Laahasil C

Usay Kehna Marr Rha Hun Mirza, Aaa Kar Dekh Lay..

Marnay Se Pehle To Puri Ho Jaye . Woh Tamanna- Deedaar E Laahaasil C

Writter: Mirza Usman

Ab Yaad Mujhe Kar K Ro Rhy Ho Tum

Ab Yaad Mujhe Kar K Ro Rhy Ho Tum
Zamane Se Nibah Kr K Mujhe Kho Rhy Ho Tum
Tumhen Meri Mohabbat Pe Yain Aa Raha Ha Ab
Chalo Choro G Ab Q Dewane Ho Rhy Ho Tum


Writter: Mirza Usman

Hindu Poet Lata Haya Beautifull Poetry on Islam


Kisi Malzom k dil ki sada ko yaad kar lena
kisi bhi zulm se pehlay saza ko yaad kar lena

bura jab waqat ata hai to rab ko yaad kartay ho
kabhi achi ghari me bhi Khuda ko yaad kar lena

Huqooq aurat k mardo se hai kya ye jan'na hai to
Kalam Ullah ki Surah Nisa ko Yaad kar lena

Kabhi socha ha tumko log acha q nahi kehte
Kabhi Tanhai men Apni Khata ko Yaad kar lena

Agr Ghafil hai tu anjaam se apne ay israil
to quom e loot aur qoum e Saba ko yaad kar lena

Dua ko hath jab uthay to bas itni guzarish ha
Karo jab yad apno ko HAYA ko yaad kar lena





Men apne Aaj se Hara Koi Baazi Nahi Hota

Men apne Aaj se Hara Koi Baazi Nahi Hota
Agar Lipta Hua Mujhse, Mera Maazi Nahi Hota

Zaruri Hai Qadurat Bhi Dilo se Saaf Ho Pehle
Faqat Sar ko Jhukanay se Khuda Raazi Nahi Hota

Zamane k to Kham Suljha raha hun

Zamane k to Kham Suljha Raha hun
Magar khud Ulajhta ja raha hun

Ye duniya kab kisi ko manti ha
Men apne ap ko Manwa raha hun

Ye kya din aa gaye han Zindagi men
Men apne ap se ukta raha hun

wo dhoka day to uski kya khata hai
Khata meri ha dhoka kha raha hun

Poet: Nadeem Shah

Agr ye Darr Hai k Tujhko wo tum se tu kar day

Agr ye Darr Hai k Tujhko wo tum Se Tu Kar Day

TO Mashwra hai Mera Khatam Guftagu Karday

Jigar k Chaak Nahi AIsa Charagar Lao

Jo Meri Rooh k Zakhmo ko Bhi Rafu Kar de

Bohat Khobsurat Ho Tum

Bohat Khobsurat Ho Tum,
Bohat Khobsurat Ho Tum,
Kabhi men jo keh don Mohabbat Hai tumse
To mujhko khudara Galat Mat samajhna
k Meri Zarurat ho Tum

Bohat Khobsurat Ho Tum,
Bohat Khobsurat Ho Tum,

Han pholon ki daali ye banhen tumhari
hai khamosh jadu nigahen tumhari

jo kantay hon sab apne daman men rakh loun
Sajaun men kaliyo se rahen tumhari

Nazar se Zamane ki khud ko bachana
kisi or se daikho dil na lagana
k meri AMANAT ho tum

Shaam e Gham Tujh Se Jo Darr Jaty Han

Shaam e Gham Tujh Se Jo Darr Jaty Han
Shab Guzar Jaye to, Ghar Jaty Han

Youn Numayan Han Tere Kochay Men
Hum Jhukaye Huwe Sar Jaty Han

Ab Ana ka bhi Hamen Pass Nahi
WO Bulaty nahi, Par Jaty Han

Waqat Rukhsat Unhen Rukhsat Karnay
Hum bhi Tahat e Nazar Jaty Han

Yaad Kartay Nahi Jis din Tujhay Hum
Apni Nazron se Utar Jaty Han

Waqat se Puch Raha Ha Koi
Zakham kya Waqiae Bhar Jaty Han

Zindagi Tere *Taqub men Hum
Itna Chaltay Han k Marr Jaty Han

Poet: Tahir Sarfaraz

*Taqub Means "Pecha Karna"

Itna Bhi Karam Unka Koi Kam To Nahi ha

Itna Bhi Karam Unka Koi Kam To Nahi ha
Gham De Kar Puchtay Han, Koi Gham to Nahi Hai

Naqsha Jo Mujhe Khuld Men Dikhlaya Gaya Tha
Ay Sahib e Alam, Ye wo Aalam To Nahi Hai

Halat Mere In Dino Paichida Bohat Han
Zulfon men Kahin Teri, Koi Khan To Nahi Ha

Chal Maan Liya Tera Koi Dosh Nahi Tha
Halan k Dalelon m,en Teri, Damm To Nahi Hai

Poet: Tahir Sarfaraz

Wo is pe Mutmin Han k Dastaar Bach Gai

Wo is pe Mutmin Han k Dastaar Bach Gai

Mujhe Malal ha k Mera Sar nahi Gaya

Aa Galy lag ja Mubarik ho tujhe mere raqeeb

Aa Galy lag ja Mubarik ho Tujhe Mere *Raqeeb

Kal Talak jo Shakhs, Mera Tha wo Tera Hogaya


*Raqeeb mtlb, Jise hum chahen usay agr koi aur 
bhi chahe to wo or hum apas men raqeeb han

Uski Kathai Ankho Mein Han

Uski Kathai Ankho Mein Han Jantar Mantar Sab

Chaqu aWaqu, CHuriyan Wuriyan, Khanjar Wanjar Sab

Jab se Tum Mujh Se Ruthi ho, Mujh se Rothay ROthay Han

Chadar wadar, Taqia Waqia, Bistar Wistar Sab